सोमवार, 14 दिसंबर 2020


Investment and Tax planning after Retirement

 

Class on 8th Dec 2020  , IICM

 

Namskar Dosto

 

Aap sab ka es online meeting me swagat hai.

Mai Ajit Kumar Singh, 2017 me CMPDI se GM Finance ke post se retire ho gaya hun aur Ranchi me hi settle ho gaya hun

 

Aap log jo es meeting me hain wo bhi jaldi hi retire hone wale hain. Coal India me ijjat ke sath retire hona apne aap me ek achievement hai, mai aap sabke ujjawal bhavisya ki kamna krta hun

 

Jab hm kisi company me join krte hain to kab mera retirement hoga yah pahle se pata rahta hai , to hmlog me se jyada log pahle se hi planning kar liye hote hain.

 

Sabse badi chinta paise ki manaement aur Income Tax  ki hai. yah hmlogon ka saubhagya hai ki hmlog Coal India jaisi Maharatna comapny se retire ho rahe hain. Hamari company ne retirement ke baad ek sammanit jiwan jeene ke liye achhi schemes chalu ki hai jiske chalte retire ke baad shayad hi hme paise ki killat na ho aur agar ham paise ki kdra krna samjh len , fund ka basic management bhi sikh len to yakin maaniye ki hamare aage ki 25 30 saal ki zindgi aaram se gujar sakti hai bina kisi par aashrit (depend) hue.

 

Karib 30 saal ke naukri me retirement tak aap ne achha khasa bachat kar liye honge , aap ke PF me achhi rakam hogi, pension bhi achha milega , nps aur PPF me bhi aap ne bachat ki hogi , kul mila kar retirement ke samay etna paisa jarur mil raha hai ki aap ke baanki ke 30 saal aaram se gujar sake.

 

Coal India se retirement lene wale ek ausat adhikari ko lagbhag 80 lakh se 1 crore aaj ke samay me jrur mil jaati hai jaise ki

 

Gratuity se 20 lakh - Tax free

 

Leave encashment se karib 10 15 lakh 3 lakh tax free

 

PF 60 se 80 lakh agar koi loan nahi liye tab bhi , es trah lump sum ke rup me 80 lakh se 1 crore to mil hi jaati hai 

ek ausat adhikari ko pension ke rup me bhi ab 45 se 60 hazar har mahina milti . es pension ko agar ham working capital samjh le tab bhi es umr me ghar chalane ke liye etni rakam achhi khaasi hai kyonki jin adhikariyon ne shuru me achhi planning ki thi unko naa ab koi emi dena hai na ghar ke liye TV fridge ya jaruri saman kharidna hai, naa hi bachho ka school fee aadi deni hai yaani ki liability free  zindgi .

 

 

Lekin sawal etna hi nahi hai . CMPF ka pension flexible nahi,  fix hai matlab jitna aap ko aaj mil rahi hai utna hi aap ko 10 saal baad, 30 saal baad bhi milegi , es hisab se pension ka jo aaj value hai wo aage nahi rahegi  ( aur aap ke Lumpsum 80 lakh - 1 crore ka value bhi kam hoga ) tab  mahgai badne ke chalte kewal pansion se ghar chalana muskil hogi esliye jaruri hai ki aap ko jo lump sum 80 lakh se 1 crore milega uska sahi dhang se nivesh kiya jaaye taaki paise ki value brakrar rahe aur aap retirement ki pahle wali life style ji saken.

 

 

Esliye sawal hai ki jo lump sum mila hai uska management kaise karen.

 

es sawal ka jawab har aadmi ke liye alag alag ho sakti hai.

 

 

kripya paper par note kren . jaruri nahin ki sab koi isko follow kren kyonki sabki apni alag alga case hai

Retire hone par :

 

Sabse pahle mai yah slah dunga ki aap chahe jahan nivesh kren , jitna nivesh kren apni ptni ko jrur bhagidaar banaye aur sab baat unse share kren. Apne saare paper ko sahej kr rakhe. Behtar hoga alag alga paper ko alag alag plastic ke folder me rakhen aur folder ko marking kar den jaise ki jamin aur makan ka paper, nivesh ka paper, dawai, elaaj aur medical bill ka paper, aadi.

Saare cheezo ka password ek file me save karke rakh len jaise bank a/c , nivesh aadi ka paasword. Apni ptni ko bhi etna jrur bta den ki aap ne kahan aur kitna invest kiya hai aur kis agent se. insurance kitna hai aadi aadi taki kabhi kuch anhoni hone pr aap ki ptni baad me sambhal sake, 

 

1. saare loan agar kuch hai to wapas kar den jaise car loan , aadi

 

2.  Kya aap  nps , ppf aadi me 1.50 lakh tak har saal invest krte  hain , agar haan to agar home loan aur bachho ki padai loan agar hai to wo bhi wapas kr den ya Bachho ki kamai se study loan ka tax rebate bachho ko lene den.

 

3. agar PPF ya NPS ya 80C me bachat ke kuch nahi hai to home loan me etna rakhe ki har saal 1.50 lakh tak rebate le saken . Loan ka Banki amount wapas kar den.

 

4. 60 saal ke baad aap nps ya ppf nahi le sakte aur faida bhi nhi hai kyonki 15 saal ka lock in period hota  hai isme . 15 saal aap paisa nikal nhin sakte.

 

5. Agar NPS , PPF , Home Loan kuch nahi hai tab aap ko tax bachane ke liye 2 upay hai

 

1.5 lakh ka ELSS mutual Fund aur apni family ke liye health Insurance le lijiye. Aap kahenge ki Coal India  ka  CPRMS hai hi to alag se health Insurnce kyon len , to mai kahna chahta hun ki CPRMS kewal aap aur aap ki ptni ke liye hi hai . agar aap ke papa, mummy hain, bachhe log hai to unke naam se Bhi health policy le kar Tax bacha sakte hain 20000 varshik preimum par.

 

 6. Agar aap Bank FD karna Chahte hai to apne naam se 8 lakh se jyada n kren kyonki agar 6% interest bhi maan lete hain to saal bhar me  Rs. 48000 tak interest hoti hai . Sr citizen ko FD interest par 50K tak section TTB me chut milti hai. Baaki rakam taxable hogi. Agar Aap ki ptni bhi sr citizen hai tb alag se unke naam se FD 8 lakh FD kr sakte hain taaki unko bhi 80TTB me chut mile.

 

7. aapki  patni ka agar PAN card nahi hai to aaj hi bnwa len aur Bank account bhi alag se khol len  sath hi 0 Tax return bhi file karwa len agar sambhav ho to. 2018-19 ka tax return kuch penalty ke sath abhi bhi bn raha hai .

 

8. Apni patni ke naam se bhi FD kar sakte hai ya MF me invest kr sakte hain , isse aap ki Tax Bachegi

  

   

Ab retire ke baad aap ki Taxable Income dekhni hai :

 

Maan lijiye aap ko har mahine 50000 pension milti hai aur 30000 ki alag se kamai hai jaise FD interest,PMVVY se MIS , SR citizen interest,  rent, dividend etc  total 80000 har mahina matlab 960000 saal bhar me ya kahiye ki 10 lakh sal bhar me

 

New tax rate applicable from FY 20-21 AY 21-22

(only if you do not claim rebate or deductions)

 

first 2.5 lakh- 0% (Even for Sr Citizen)

2.50  lakh -5 lakh 5%

5 lakh  7.50 lakh 10%

7.50 lakh 10 lakh 15%

10 Lkah 12.50 Lakh 20%

12.50 se 15lakh  25%

15 lakh se upar 30%

 

Tax slab rate (if you claim deductions or rebate)

 

first 2.5 lakh- 0% (Even for Sr Citizen)

2.50  lakh -5 lakh 5%

5 lakh  10 lakh 20%

10 lakh and above 30%

 

 

Es saal  yaani FY 20-21 (AY 21-22) Tax me  2 viklp hai

 

1.      koi chut naa le  (Not claiming any rebate applicable above slab rate)

 

Agar 10 lakh aap ki income hai aur koi chut nahi lete hain to  Taxable income bhi 10 lakh hi hogi. Aur 10 lakh par tax hua  12500+25000+37500=75000 *.04(cess)= Rs.78000

 

First  2.50 lakh =0

2.50 to 5 lakh (5%)= 12500

5 – 7.5 lakh (10%)= 25000

7.50 -10 lakh(15%)=37500

Total 75000 +4% cess=78000

 

2. Aur dusra viklp hai  saare chut lete rahen yaani  80c me 1.50 lakh tak aur nps me extra 50k chut len sath hi std. deduction 50000 ka bhi anand lijiye , tab 10 lakh income par aap ki taxable income hogi  7.5 LAKH

 

agar aap koi chut nahi lete hain to 10 lakh pr aap ko tax dena hoga 78000

 

aur chut (rebate) lete hain to aap ka tax hua

 

First 2.50 lakh =0

2.50 lakh – 5 lakh (5%)  = 12500

5 lakh-7.5 lakh (20%) =50000

Total 62500*.04 (cess)=65000

 

Lekin chut lene par aap ki taxable income 7.5 lakh hogi esliye aap ka tax hoga 12500+50000=62500*.04=65000

Es trah purane scheme me aap ko 13000 kam (less) tax dena hoga aur bachat par vyaj bhi milegi , agar 2 LAKH bachat par 8% bhi maan len to aap ko saal bhar me 16000 ki atrikt aadmdani hogi  jo har saal compounding hone par bahut jyada hote jayegi

 

Esliye behtar hai ki aap bachat kren jo aap ke hi kaam aayegi , yaad rakhiye bachat kewal Tax mei chut lene  ke liye hi nahi kiya jaata hai blki bachat ka mukhya udeshya haa wealth

creation .

 

agar aap ki income 1 lakh har mahina hai yaani 12 lakh saal bhar me hai to naye  scheme me aap ka tax hota hai  119600

12500+75000+40000=115000*.04 (cess)=119600

 

First 2.50 lakh =0

2.50 lakh – 5 lakh (5%)  = 12500

5 lakh-7.5 lakh (10%) =25000

7.50 -10 lakh (15%)= 37500

10 -12 lakh (20%)=40000

 

Lekin chut (rebate) lene par (1.5lakh 80C+50000 NPS, +50000 std deduction) taxable income  950000 hogi aur tax hogi

First 2.50 lakh =0

2.50 lakh – 5 lakh= 12500

5 lakh-7.5 lakh (20%) =50000

7.50 -9.5 lakh (20%)= 40000

 

102500 *.04 (cess) =106600 yaani 13600 kam aur 2 lakh saving par @8% interest =16000 interest bhi jo ki compounding hote rahega

 

Isliye chut wali option hi sahi hai , tax bhi kam , bachat ki aadat bhi aur wealth generation bhi.

 

Esliye behtar hai ki aap bachat kren jo aap ke hi kaam aayega , yaad rakhiye bachat kewal Tax mei chut lene  ke liye hi nahi kiya jaata hai blki bachat ka mukhya udeshya haa wealth creation .

 

 

1 crore lumpsum ka management :

 

Aap ke lumpsum fund ka management ke liye 2 ways hai , behtar hai ki dono ways ko follow Karen.

 

1.   No Risk way

2.    Risk way (High , low and moderate risk)

Make a balanced approach of Investment by mixing both non risk investment and risk investment to reap maximum benefits

 

No Risk Investment :

 

1. Rs. 15 lakh PMVVY   10 saal ka lock in period hai. 7.4% interest rate hai annual lene par effective 7.66% hoti hai  . ek baar lene par wahi interest rate 10 saal chalti hai , matlab sr citizen scheme ke tarah har 3 mahine par interest rate revise nahi hoti . lekin koi tax chut nahi . agar aap bachat nahi krte to taxable income badhegi aur effective return kam hi hoga . Kewal LIC se hi le sakte hain.

 

2. 15 Lakh Sr Citizen scheme  : isme 15 lakh tak invest kar sakte hain ,5 saal ka lock in period hota hai. Uske baad 3 saal aur badha sakte hain (optional).  Abhi 7.4% interest rate hai.  Post office aur bank me uplabdh hai . interest rate har 3 mahina me badal jaati hai .  abhi ka interest rate hai 7.4% per quarter. income tax me chut 80c ke andar 1.50 lakh tak hai . lekin interest income taxable hai, waise 80TTB ke andar 50k tak dikha sakte hain .

Waise coal India se jo retire karte hain unko 80c me es scheme se pahle saal tax rebate me koi faida nahi hai kyonki unka 80c pahle hi bhara rahte hai.

 

Es scheme me chahe to har saal 1.50 lakh nivesh kar sakte hain aur har saal tax benefit le sakte hain. Lekin total investment 15 lakh se jyada naa ho . lekin har 3 mahine interest bhi badalti rahi hai isliye dekh kar invesh kar sakte hain.

 

3. 15 Lakh FD  me apne aur patni ke naam alag alag taaki aap dono milkar 1 lakh tak sud ka rebate paa saken har saal. Income tax me interest par 50000 tak chut section 80TTB par milti hai .

 

 

Risk MF Investment :

 

High Risk MF Scheme

 

15 lakh Equity mutual fund for more than 7 years. Isme karib 14% se 18% return milti hai lekin stock market ki volatility hai aur highly risky hai. Jaise ELSS fund Multicap fund, small cap fund, Long term equity Fund aadi. Long term Capital gain hone aur Indexation benefit milne ke chalte gain par Tax bahut kam hoti hai.

 

 

Low Risk MF Investment :

 

15 lakh in very low risk mutual fund like Saving Fund scheme , Govt Bond fund scheme , Corporate Bond Fund scheme. Low duration /Overnight fund scheme etc.

Es tarah ke MF me bahut kam risk hai aur return karib 8% tak milti hai .

 

Mid Risk MF Investment :

 

20 lakh Debt-Equity (Balanced) Fund me, jaise ki Tata Retirement Saving fund bahut achhi hai . ye karib 12% tak return deti hai. Aap isme agar 20 lakh invest krte haain aur har mahine 12 se 15000 ka swp (systematic withdrawal plan ) lete hain for monthly income  then  5 saal ke baad aap ko 22 se 23 lakh wapas alag se mil jaati hai yaani ki har mahine monthly income bhi aur capital appreciation bhi .

 

Agar aap Monthly Income ke liye Monthly Dividend option lena chahte hain to apne naam se bilkul n len chahe to wife ke naam se le sakte hain agar unki taxable income kam hai. kyonki es saal se dividend apke slab rate se taxable hogi, matlab aap ki income ke hisab se jo tax rate hai usi rate pr dividend pr tax kategi

 

aap apne liye SWP yani Systematic Withdrwal Plan le lijiye , isse har mahine income bhi hogi aur Tax bahut kam dena padega kyonki SWP par Indexation benefit milti hai

5 Lakh aap apne paas kisi emergency ke liye rakhen bank a/c mei taaki emergency me kaam aaye

 

Es tarah aap ke 1 crore ka plan ho gaya.

 

Aap no risky aur  risky investment ko apni risk apetite ke anusar adjust kr sakte hain .

 

Dhyan rakhe aap Coal india se ek adhikari ke rup me retire ho rahe hain , retire hone ke baad bhi aap ko 2 saal tak kuch na kuch arrear ke rup me milti rahegi jaise PRP , NPS aadi , ye sab aap ka income Badhayega aur 80c me bachat ke rup me kuch nhi rahega agar PPF / NPS aadi alag se nahi liye hai to , isliye maine salah diya ki home loan aadi kuch saal rahne dijiye. 2 saal ke baad agar aap ko arrear milna bnd ho jaata hai aur  aap ki taxable income kam ho jaati hai tab aap 80C aadi me bachat layak rakh kar baanki Home loan wapas kar sakte hain

 

ek baat aur aap chahe kitne bhi Genious hain apna tax return kisi jaan kar  ache CA se karwana hi uchit hai kyonki 1000 - 1500 ka fees dekar aap 20- 25 hazar  ka chut yani benefit ka tips le  sakte hain aur future Tax  jhamela se bhi bach sakte hain .  

 

apne jiwan ka bharpur aanand len. Naukri ke chalte jo shauk pura na kar sake thei wo ab pura kren . jaise sangeet , tabla , harmonium , painting aadi . bachho ki shaadi ho chuki hai to aap alag se rahen aur bachho ko unki zindgi zine den, vyarth unke kaam ya jhgdon me aap panchayti naa kren . aap  unko aarthik sahyog chahe to de sakte hain , unka dhyan rakh sakte hain lekin ek sima tak hi .

 

Agar aap ka koi prshan hai kuch puchna hai query hai to

Aap hamko whatsapp kar sakte hai

 

 

Ajit Kumar Singh

9470307730 (whatsapp)

Near CMPDI gate

Behind IDBI bank

Kanke Road

Ranchi-834008

 

www.etaashfinserve.com

 

Shubhkamnaye

 

 


0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें

सदस्यता लें टिप्पणियाँ भेजें [Atom]

<< मुख्यपृष्ठ